Tuesday, March 27, 2012

Mata Chintpurni ki bhent

Jai Mata Di

Chintpurni, chinta doour karni, jan ko taro, bholi ma

Kali da putra pawan da ghora
Singh per bhayi aswar, bholi ma, Chintpurni…………………

Ek haath kharag, dujey mein khanda
Teejey trishool sambhalo, bholi ma, Chintpurni…………………

Chauthey haath chakkar, gada paanchvey
Chaththey mundon di maal, bholi ma, Chintpurni…………………

Saatvein se rund mund vidaarey
Aadhvein se asur sanharey, bholi ma, Chintpurni…………………

Champe ka baag laga ati sundar
Baithi diwan lagayey, bholi ma, Chintpurni…………………

Harihar brahma tere bhavan viraje
Lal chandoya baithi taan, bholi ma, Chintpurni…………………

Aukhkhi ghati vikta painda
Taley bahey dariya, bholi ma, Chintpurni…………………

Sumar charan dhyanu jas gaavey
Bhakton di paij nibhao, bholi ma, Chintpurni…………………

Navratri Song


Jai Mata Di


Jago he jagdambe jago hey jwala

Jago ma durge ma jago pritpala

Bhaktjano ne tere darr pe dera dala

Jago ma jago, ma jago…….



Jago tumharey bhakt tum ko jagayen (2)

Aao ma lal tumhen ro ro bulayey (2)

Jwala hai naam tera tez hai nirala (2)

Jago ma jago, ma jago…….

Jago he jagdambe jago hey jwala

Jago ma durge ma jago pritpala

Bhaktjano ne tere darr pe dera dala

Jago ma jago, ma jago…….



Jago dilon ke andhakaar ko mita doa (2)

Bhatkey huon ko maiya roshani dikha doa (2)

Apni hi jyoti ka karkey ujala (2)

Jago ma jago, ma jago…….

Jago he jagdambe jago hey jwala

Jago ma durge ma jago pritpala

Bhaktjano ne tere darr pe dera dala

Jago ma jago, ma jago…….



Sara zamana hua jot ka diwana (2)

Maiya hum charnon mein maangein dhikana (2)

Jispe teri nazar uska bolbala (2)

Jago ma jago, ma jago…….

Jago he jagdambe jago hey jwala

Jago ma durge ma jago pritpala

Bhaktjano ne tere darr pe dera dala

Jago ma jago, ma jago…….



Sher pe sawaar ma ashtabhuja wali (2)

Dushton ki kaal bhakton ki rakhwali (2)

Nainon mein tez tere galey mundmala (2)

Jago ma jago, ma jago…….

Jago he jagdambe jago hey jwala

Jago ma durge ma jago pritpala

Bhaktjano ne tere darr pe dera dala

Jago ma jago, ma jago…….



Monday, March 26, 2012

Naina Devi ki bhent


Jai Mata Di

Tera adbhut roop nirala, aaja meri naina mayi e
Tujh pe tann mann dhann sub vaaroon, aaja meri naina mayi e

Sundar bhavan banaya tera, shobha teri nyari
Neeke neeke khambey lagey adbhut chitrakaari
Tera rang-biranga dvara, aaja……………………………………………

Jhanjar aur mirdanga baaje aur baaje shehnayi
Turayi nagara dholak bajey tabla shabda sunayi
Tere dvar pe naubat baje, aaja……………………………………………

Peela chola jarad kinari lal dhvaja fehraye
Sirr soney da mukut viraje nigaah nahin thehraye
Tera roop na varna jayey, aaja……………………………………………

Paan supari dhvaja nariyal bhent tihari laagey
Baalak boorhey nar-naari ki bheerh khari tere aagey
Teri jai jai kaar manayey, aaja……………………………………………

Koyi gaayey koyi bajayey koyi dhyaan lagayey
Koyi baitha tere aangan mein naam ki taer sunayey
Koyi nritya karey tere aagey, aaja……………………………………………

Koyi maangey beta beti kissi ko kanchan kaya
Bhakton kripa teri maangey, aaja……………………………………………

Friday, March 23, 2012

Navdurga ki bhent


Jai Mata Di
 
Aho maat jug taaran maya
Nau durgey ne roop dhara koyi nyara-nyara
Prathmey mata, shailputri ka naam dharaye
Giri ki putri ho Shankar ka dhyan lagayey
Bhayi tapasya poorna maat ne bahu var paayey
Shivshankar kailashpati ko pati banayey
Shiv ko pati banayey ke ji bhyah racha maharaj
Pratham shailputri bhayi keena jug ka kaaj, maat………………………..

Dvitiye apna roop brahm ne aap dikhaya
Sub jug mein kiya vaas jyoti bhayi mohan maya
Jwalamukhi pahaar aan ek sthaan banvaya
Agni roop ho aiy maat ne khel rachaya
Dvitiye brahmacharini bhayi jo sub jug kiya prakash
Santjanon ki kari palna dushton ka kar naash, maat………………………..

Triteeye brahma Vishnu mayi ko sheesh navayein
Devan ke mahadev mayi ka dhyan laganvein
Indradik sur dev maat ne sub upjayey
Apna kaarya karo hum tumhein sunaayein
Triteeya chandraghanta bhayi ji, tumra ghanta shabd sunayi
Teen lok taaran taran mastak suhaiy, maat………………………..

Chaar karm chaar varn maatu ne aap banaye
Brahman kshatri vaishya shudra jinke naam dharaye
Tupp karne ko maat brahman dharam chalaye
Yudh vidya ke kaaran khsatri paramparayey
Vaishya udar vyaapar ko ji shudra ko seva deen
Kushmaandatey chaturthkum chautha roop dhar leena, maat………………………..

Paanchon devta maat aapne liye bulaye
Safal jagat vikhyaat maat ki sharni aayey
Aagya deu charan per sheesh navaey
Tum tupp karney ko chal diye ji brahma, Vishnu, Mahesh
Pancham skandamateti maein sumrun adi ganesh, maat………………………..

Sub devan ke hetu mahamayi ban aayi
Ang jwala maatu jwala ji jyoti sawayi
Jal vich darshan diya jhalakti kal dikhayi
Dekh roop vikraal devan mann dheeraj ayi
Sabhi dev stuti karein ji tum suno gareeb nawaj
Shashtam katyayani bhayi raakhi bhakt ki laaj, maat………………………..

Saptam kali roop kalika kaal banao
Dharmaraj dhara naam dharm ko vachan sunao
Asur bidaran kaaran aap deevan lagao
Apni bhrikuti khol kaal bhairon upjao
Ratnagiri per ayai ke ji asuran khet bichaye
Saptam kaalratri ka bana roop na barna jayey, maat………………………..

Sur nar muni jan sakal devta mangal gaavein
Ashta pehar din raein shesh meri stuti gayein
Kar kripa kripaal bhavani sub jan dhyayey
Ashtbhuji singh vahini ji deenon dal sanhaar
Mahagari ke bhesh mein lakhiya roop apaar, maat………………………..

Naunvein durga maat, maatu ka dhyan lagaye
Nau nath chaurassi sidhdh tere dwaar ayey
Naarad dharein dhyan indra teri arati utaarein
Pandit aasan baith ke chandi paath sunayey
Naunvein sidhdhidhatritiya jo nav durga prakritarta
Jananaath sharani parhey tum hi maat pita, maat………………………..



Friday, March 9, 2012

Teri nau nau jyotan jaagein aaja unchey parvatwaliye

Jai Mata Di

Teri nau nau jyotan jaagein aaja unchey parvatwaliye
Tere bhakt aahutiyan paavein aaja meri sheranwaliye

Pehli jyoti mata teri mahakali kehlaye
Mukti bhukti ke dene wali jwalamukhi suhayey
Teri jyoti na bujhney paayey, aaja…………………………………..

Dooji jyoti mata teri annapoorna kahayi
Apne bhakton ke tu janani anna bhandar bharayi
Wah toa shatras bhojan paayein, aaja…………………………………..

Teeji jyoti maharani ki chandi ji kehlaye
Apne bhakton ke tu mata shatru naash karaye
Unka baal na hovey banka, aaja…………………………………..

Chauthi jyoti maharani ji ki hingalaaj kehlati
Jo shradhdha se bhakti karta sagrey dukh mitati
Sagri byadha naash karayey, aaja…………………………………..

Vindhyavasini pancham jyoti kehta hai jug sara
Apne bhakton ka karti hai shokon se chutkara
Unkey sarey kasht mitayey, aaja…………………………………..

Kundh ke maanhi jyoti chathvin mahalaxmi mayi
Iske poojan karne se swarnadik ghar bhar jaayi
Unke sakal bhandar bharaye, aaja…………………………………..

Saptam jyoti sarawati ma sara jagat pukarey
Jo koyi bhi dhyan lagayey vidya aayey dvarey
Jahan jaye aadar payey, aaja…………………………………..

Jyoti aadhvin ko jug sara kahey ambika lali
Hai jug mein vikhyat maat santaan ke dene wali
Maiya godh na khali rakhey, aaja…………………………………..

Basai kund mein naunvi jyoti naam anjani mata
Iska poojan aayu aur sukh ki sidhdhi ka daata
Bhakton sabhi jyoti per vaari, aaja…………………………………..

Thursday, March 8, 2012

O ayey tere bhavan de de apni sharan

Jai Mata Di

O ayey tere bhavan de de apni sharan (2)
Rahey tujhmein magan, thaam kar yeh charan
Tann mann mein bhakti jyoti teri hey mata jalti rahey (2)
Utsav manayein naachein gaayein chalo maiya ke darr jaayein
Jai mata di…………………….

Charon dishayen char kandein baneen hain
Mandap pe aasman ki chaadar tani hai
Suraj bhi kirnon ki mala le aaya
Kudrat ne dharti ka aangan sajaya
Karke tere darshan jhoomey dharti gagan
Sunsun gaayey pavan sabhi tujhmein magan
Tann mann mein…………………………………………………………..

Phoolon ne rangon se rangoli sajayi
Sari dharti ye mehkati, jai mata di………………….
Charnon mein behti hai ganga ki dhaara
Arati ka deep lagey har ek sitara
Purvaiya dekho chanvar kaise jhulayey
Rituein bhi mata ka jhoola jhulayein
Pakey bhakti ka tann hua paavan yeh mann
Karke tera sumiran khuley antarnayan
Tann mann mein…………………………………………………..

Wednesday, March 7, 2012

Chola lal maiya ka chola lal lal lal


Jai Mata Di

Chola lal maiya ka chola lal lal lal (2)
O suraj chanda ke doa naina, jai ho,
Suraj chanda ke doa naina, maathey mukut vishal
Chola lal…………………………………………………………………. (2)

Chandan ki chauki per baithi maiya aadhkanwari
Ooper bhavan gagan ko choomein shobha jiski nyari (2)
Chand sa mukhra chamak raha hai, jai ho,
Chand sa mukhra chamak raha hai, kadamon ki avadhi maar
Chola lal…………………………………………………………………. (2)

Brahma devta karein rasoi inder bharta paani
Kanvar jhulaye bajrangi aur pairon taley nigrani
O devi devta amber se dekhein ye roop kamaal (2)
Chola lal…………………………………………………………………. (2)

O ma ke hansney se patjhar mein khil jaatein hain phool
Soyey bhaag jaga de ma ke inn charnon ki dhool (2)
Jhoom rahin hai phool aur kaliyan, jai ho,
Jhoom rahin hain phool aur kaliyan, naachein tere saath
Chola lal…………………………………………………………………. (2)

Lal hi chola lal chunariya saath hi lal kinaari
Baant rahi hai khushiyan sub ko kar ke sher sawari (2)
O mata bholi bhar de jholi, jai ho,
Mata bholi bhar de jholi, poora karey sawal
Chola lal…………………………………………………………………. (2)
O suraj chanda ke doa naina, jai ho,
Suraj chanda ke doa naina, maathey mukut vishal
Chola lal…………………………………………………………………. (2)

De ma nij charnon ka pyar

Jai Mata Di

Jai jai ma, jai ma (4)
De ma nij charnon ka pyar
Jai jai ma, jai ma (2)

Poorna prem de amar sneh de
Divya shakti anand de de (2)
Pooja karun sada mein teri (2)
De sumiran ka daan
Jai jai ma, jai ma (4)

Tujh ko jaanoon tujh ko maanoon
Tujh per hi nij jeevan vaarun
Dhyan rahey tera hi nisdin (2)
De bhakti ka udaar
De ma nij charnon ka pyar (2)
Jai jai ma, jai ma (4)

Hriday adhipsa se jagrit ho
Abhay astra mere sirr per ho
Divya prem se oat prot ho (2)
Jeevan ka karagaar
De ma nij charnon ka pyar (2)
Jai jai ma, jai ma (4)

Monday, March 5, 2012

Sarveshvari, jagdeeshvari, hey matri roop maheshvari

Jai Mata Di

Sarveshvari, jagdeeshvari (2)
Hey matri roop maheshvari
Mamtamayi karunamayi (2)
Hey matri roop maheshvari

Jag jeevani sanjeevani
Samast jeevaneshvari (2)
Hey matri roop maheshvari
Sarveshvari, jagdeeshvari (2)
Hey matri roop maheshvari

Kripalini jagtarini
Prati pal bhuvan hrideshvari
Hey matri roop maheshvari
Sarveshvari, jagdeeshvari (2)
Hey matri roop maheshvari

Tum harini shubhakarini
Mannmohini vrisheshvari
Hey matri roop maheshvari
Sarveshvari, jagdeeshvari (2)
Hey matri roop maheshvari

Sunday, March 4, 2012

Ambe charan kamal hain tere

Jai Mata Di

Ambe e e e e charan kamal hain tere (2)
Hum bhaurein hain janam janam ke
Nis din lete ferey
Ambe…………………………………………………………………………….
Tu dharti jug paalan karti
Amber ka aadhaar hai tu (2)
Sub such jhoothey sub dukh jhoothey
Iss jeevan ka saar hai tu
Tu satyam shivam sundaram
Hum sub chakra ke tere
Ambe e e e e charan kamal hain tere (2)
Hum bhaurein hain janam janam ke
Nis din lete ferey
Ambe…………………………………………………………………………….

Hosh mein aansoo doour desh ka
Antar mein lekar ujiyarey
Tere mandir mein natmastak
Nabh ke suraj chand sitarey
Hum ne teri muskanon mein
Dekhey madhur savere
Ambe e e e e charan kamal hain tere (2)
Hum bhaurein hain janam janam ke
Nis din lete ferey
Ambe…………………………………………………………………………….

Jai ma jai ma jai jai ma (8)

Friday, March 2, 2012

Mere mann ke andhtamas mein Jyotirmayi utaro

Jai Mata Di

Jai jai ma, jai jai ma (4)

Mere mann ke andhtamas mein
Jyotirmayi utaro
Jai jai ma, jai jai ma (4)

Kahan yahan devon ka nandan (2)
Malyachal ka abhinav chandan (2)
Mere ur ke ujrey mann mein
Karunamayi vichro
Mere mann ke andhtamas mein
Jyotirmayi utaro
Jai jai ma, jai jai ma (4)

Nahin kahin kuch mujh mein sundar (2)
Kajal sa kala ye antar (2)
Pronon ke gehrey kahvar mein
Mamtamayi vighro
Mere mann ke andhtamas mein
Jyotirmayi utaro
Jai jai ma, jai jai ma (4)

Thursday, March 1, 2012

Paurhi paurhi charhda ja bhakta


Jai Mata Di

Sarey bolo jai mata di
Prem se bolo jai mata di
Mil ke bolo jai mata di
Zor se bolo jai mata di
Jai kara sheranwali da
Bol saanchey darbar ki jai

Paurhi paurhi charhda ja bhakta
Jai mata di karda ja bhakta (2)
O o o o o oonche parvaton ki kar lo charhayee bhakta
Sundar gufa mein virajey mahamayi bhakta (2)
Paurhi paurhi charhda ja bhakta
Jai mata di karda ja bhakta (2)

Jai ma jai ma jai jai ma (2)

Katra se chal darshan dwar se
Aagey kadam barha lo
Baan ganga ke sheetal jal mein
Dubki ek laga lo (6)
Charan paduka mandir mein bhi
Jhuk kar maatha taeko
Aadhkunwari garbh joon ka
Bhaav se jalva dekho (6)
Rut ambe ma ke darshanon ki ayi bhakto
Sundar gufa mein virajey mahamayi bhakto
Paurhi paurhi charhda ja bhakti
Jai mata di karda ja bhakti (2)

Sarey bolo …………………………………………………………………

Haathi maththa kathin raastey
Dekh kar na himmat haro
Ma ke bhakton ambe ma ka
Mann se naam uchcharo (6)
Saanjhi chatt per ruk kar apni
Thorhi thakan mitao
Shradhdha bhaav se tum kanjkon ko
Paisey de ke jao (6)

Sachchi bhavana ki kar lo kamayi bhakto
Sundar gufa mein virajey mahamayi bhakto (2)

Paurhi paurhi charhda ja bhakti
Jai mata di karda ja bhakti (2)